gardish-e-arz ruke shab hai guzarne ke liye
gardish-e-arz ruke shab hai guzarne ke liye
koī uTThā hai sitāroñ se utarne ke liye
zindagī tere masā.il kā sulajhnā to alag
kis ko fursat hai yahāñ ġhaur bhī karne ke liye
shaḳhsiyat-sāz mohabbat ne badal dī duniyā
ab vo sūrat kahāñ baaqī hai mukarne ke liye
laakh kar jaa.e taraqqī fan-e-marham-sāzī
baat ke zaḳhm to khulte nahīñ bharne ke liye
mushkileñ majma.a-nigāroñ pe huī haiñ āsāñ
rāsta ḳhud kahīñ miltā hai guzarne ke liye
kaukab-e-jām-o-subū farsh pe Dhalke hoñge
shaam ham anjumanī sub.h bikharne ke liye
shorish-e-dahr ko dahlīz se Takrāne de
dar khulā chhoḌ na 'mānī' koī jharne ke liye
gardish-e-arz ruke shab hai guzarne ke liye
koi uTTha hai sitaron se utarne ke liye
zindagi tere masail ka sulajhna to alag
kis ko fursat hai yahan ghaur bhi karne ke liye
shaKHsiyat-saz mohabbat ne badal di duniya
ab wo surat kahan baqi hai mukarne ke liye
lakh kar jae taraqqi fan-e-marham-sazi
baat ke zaKHm to khulte nahin bharne ke liye
mushkilen majma-nigaron pe hui hain aasan
rasta KHud kahin milta hai guzarne ke liye
kaukab-e-jam-o-subu farsh pe Dhalke honge
sham hum anjumani subh bikharne ke liye
shorish-e-dahr ko dahliz se Takrane de
dar khula chhoD na 'mani' koi jharne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.