gardish-e-chashm-e-mast se dil ko lubha gaya koi
gardish-e-chashm-e-mast se dil ko lubhā gayā koī
aql pe mujh ko naaz thā vo bhī miTā gayā koī
dil ko tabassum-e-nazar apnā dikhā gayā koī
dāman-e-aql-o-hosh meñ aag lagā gayā koī
yaas ne kar diyā thā kuchh dil ke mizāj ko ḳhunuk
garmī-e-iltifāt se aag lagā gayā koī
ālam-e-be-ḳhudī meñ phir sajdoñ kī dhūm-dhām se
dair ke zarre zarre ko ka.aba banā gayā koī
'jauhar'-e-ġham-nasīb ko de ke payām-e-iltifāt
ishq ke e.atibār ko aur baḌhā gayā koī
gardish-e-chashm-e-mast se dil ko lubha gaya koi
aql pe mujh ko naz tha wo bhi miTa gaya koi
dil ko tabassum-e-nazar apna dikha gaya koi
daman-e-aql-o-hosh mein aag laga gaya koi
yas ne kar diya tha kuchh dil ke mizaj ko KHunuk
garmi-e-iltifat se aag laga gaya koi
aalam-e-be-KHudi mein phir sajdon ki dhum-dham se
dair ke zarre zarre ko kaba bana gaya koi
'jauhar'-e-gham-nasib ko de ke payam-e-iltifat
ishq ke eatibar ko aur baDha gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.