gardish-e-dasht-e-tamanna se mila kuchh bhi nahin
gardish-e-dasht-e-tamannā se milā kuchh bhī nahīñ
ġhalġhala hone kā sunte the huā kuchh bhī nahīñ
har haqīqat vāhima hai vāhima kuchh bhī nahīñ
dekhne meñ sab ḳhudā hai aur ḳhudā kuchh bhī nahīñ
jazba-e-ta.amīr meñ ik ḳhvāhish-e-taḳhrīb thī
kuchh banānā thā use lekin banā kuchh bhī nahīñ
jab se chīzoñ kī haqīqat se huā huuñ āshnā
dekhtā huuñ par dikhātā aa.ina kuchh bhī nahīñ
lauh ik mahfūz hai aur is liye mahfūz hai
us ne apne haath se is par likhā kuchh bhī nahīñ
aks hairat-gāh meñ bikhre hue haiñ har taraf
jabki hairat-gāh meñ mere sivā kuchh bhī nahīñ
gardish-e-dasht-e-tamanna se mila kuchh bhi nahin
ghalghala hone ka sunte the hua kuchh bhi nahin
har haqiqat wahima hai wahima kuchh bhi nahin
dekhne mein sab KHuda hai aur KHuda kuchh bhi nahin
jazba-e-tamir mein ek KHwahish-e-taKHrib thi
kuchh banana tha use lekin bana kuchh bhi nahin
jab se chizon ki haqiqat se hua hun aashna
dekhta hun par dikhata aaina kuchh bhi nahin
lauh ek mahfuz hai aur is liye mahfuz hai
us ne apne hath se is par likha kuchh bhi nahin
aks hairat-gah mein bikhre hue hain har taraf
jabki hairat-gah mein mere siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.