gardish-e-dauran ne tanha kar diya
gardish-e-daurāñ ne tanhā kar diyā
jis ne jab chāhā tamāshā kar diyā
mujh ko pyāsā dekhne ke shauq meñ
tū ne dil-dariyā ko sahrā kar diyā
maiñ ne jo chāhā na vaisā ho sakā
tū ne jaisā chāhā vaisā kar diyā
ab añdheroñ kā mujhe kuchh Dar nahīñ
tū ne jo dil meñ ujālā kar diyā
jaane kyā hotā jo phir aatā nazar
ik jhalak ne terā shaidā kar diyā
mutma.in 'zaryāb' ho jā.egā jab
vaqt ne ġham kā mudāvā kar diyā
gardish-e-dauran ne tanha kar diya
jis ne jab chaha tamasha kar diya
mujh ko pyasa dekhne ke shauq mein
tu ne dil-dariya ko sahra kar diya
main ne jo chaha na waisa ho saka
tu ne jaisa chaha waisa kar diya
ab andheron ka mujhe kuchh Dar nahin
tu ne jo dil mein ujala kar diya
jaane kya hota jo phir aata nazar
ek jhalak ne tera shaida kar diya
mutmain 'zaryab' ho jaega jab
waqt ne gham ka mudawa kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.