gardish-e-haalat se hon kyon pareshan titliyan
gardish-e-haalat se hon kyon pareshan titliyan
Jameel Arshad Khan Arshad
MORE BYJameel Arshad Khan Arshad
gardish-e-hālāt se hoñ kyoñ pareshāñ titliyāñ
haiñ surūr-o-kaif-o-mastī meñ ye raqsāñ titliyāñ
dekh kar rangīñ guloñ kī be-sabātī nā-samajh
kar rahī haiñ bevafā bhañvaroñ se paimāñ titliyāñ
mastiyoñ meñ mahv haiñ mastūriyoñ meñ kuchh magar
haiñ khule-bandoñ ġharīq-e-bahr-e-isyāñ titliyāñ
misl-e-parvāna khīñchī aatī haiñ us kī diid ko
dekhne betāb haiñ māh-e-daraḳhshāñ titliyāñ
chheḌtī haiñ shoḳhiyoñ se zarfishāñ ruḳhsār ko
chūmtī haiñ yā siyāh-e-sumbulistāñ titliyāñ
sīkhnā hai shoḳhiyāñ un ko kisī gul-nāz se
kar rahī haiñ yuuñ tavāf-e-kū-e-jānāñ titliyāñ
dekhtā huuñ un ko jab aTkheliyāñ karte hue
to dilā detī haiñ mujh ko yād-e-ḳhūbāñ titliyāñ
fikr-e-she.rī ke liye 'arshad' chaman jaatā huuñ jab
saath hotī haiñ mire aksar ġhazal-ḳhvāñ titliyāñ
gardish-e-haalat se hon kyon pareshan titliyan
hain surur-o-kaif-o-masti mein ye raqsan titliyan
dekh kar rangin gulon ki be-sabaati na-samajh
kar rahi hain bewafa bhanwaron se paiman titliyan
mastiyon mein mahw hain masturiyon mein kuchh magar
hain khule-bandon ghariq-e-bahr-e-isyan titliyan
misl-e-parwana khinchi aati hain us ki did ko
dekhne betab hain mah-e-daraKHshan titliyan
chheDti hain shoKHiyon se zarfishan ruKHsar ko
chumti hain ya siyah-e-sumbulistan titliyan
sikhna hai shoKHiyan un ko kisi gul-naz se
kar rahi hain yun tawaf-e-ku-e-jaanan titliyan
dekhta hun un ko jab aTkheliyan karte hue
to dila deti hain mujh ko yaad-e-KHuban titliyan
fikr-e-sheri ke liye 'arshad' chaman jata hun jab
sath hoti hain mere aksar ghazal-KHwan titliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.