gardish-e-jam bhi hai gardish-e-ayyam ke sath
gardish-e-jām bhī hai gardish-e-ayyām ke saath
zindagī raqs meñ hai sāqī-e-gulfām ke saath
ai mirī ishrat-e-rafta kī sunahrī tārīḳh
maiñ ne dekhā hai tujhe gardish-e-ayyām ke saath
hasrat-e-dīd to nikle kisī sūrat qāsid
merī āñkhoñ ko bhī le jā mire paiġhām ke saath
vo mirā qissa-e-ġham sunñe se pahle bole
dekh aa.e na mirā naam tire naam ke saath
dast-e-sāqī meñ vo jaam aaya vo sūraj ubhrā
ik na.ī sub.h nazar aa.ī na.ī shaam ke saath
khul ke gesū ruḳh-e-jānāñ pe jo lahrāne lage
raushnī sub.h kī Takrāne lagī shaam ke saath
nām-levā bhī to hogā na koī bād-e-'muhib'
ḳhatm hai terā fasāna mire anjām ke baad
gardish-e-jam bhi hai gardish-e-ayyam ke sath
zindagi raqs mein hai saqi-e-gulfam ke sath
ai meri ishrat-e-rafta ki sunahri tariKH
main ne dekha hai tujhe gardish-e-ayyam ke sath
hasrat-e-did to nikle kisi surat qasid
meri aankhon ko bhi le ja mere paigham ke sath
wo mera qissa-e-gham sunne se pahle bole
dekh aae na mera nam tere nam ke sath
dast-e-saqi mein wo jam aaya wo suraj ubhra
ek nai subh nazar aai nai sham ke sath
khul ke gesu ruKH-e-jaanan pe jo lahrane lage
raushni subh ki Takrane lagi sham ke sath
nam-lewa bhi to hoga na koi baad-e-'muhib'
KHatm hai tera fasana mere anjam ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.