gardish-e-waqt ka manzar nahin dekha jata
gardish-e-vaqt kā manzar nahīñ dekhā jaatā
yaar ke haath meñ ḳhanjar nahīñ dekhā jaatā
koī ruḳhsat kare aur aañkh meñ aañsū bhī na hoñ
aise lamhāt meñ muḌ kar nahīñ dekhā jaatā
ye rivāyat mire purkhoñ se chalī aa.ī hai
'ishq meñ yaar ko chhū kar nahīñ dekhā jaatā
ai ḳhudā shahr ke hākim ko hidāyat de de
chār-sū 'arsa-e-mahshar nahīñ dekhā jaatā
ham ki dam toḌtī qadroñ ke amiiñ haiñ ham se
bint-e-havvā kā khulā sar nahīñ dekhā jaatā
haa.e us husn-e-balā-ḳhez kī tāsīr 'umair'
der tak us ko barābar nahīñ dekhā jaatā
gardish-e-waqt ka manzar nahin dekha jata
yar ke hath mein KHanjar nahin dekha jata
koi ruKHsat kare aur aankh mein aansu bhi na hon
aise lamhat mein muD kar nahin dekha jata
ye riwayat mere purkhon se chali aai hai
'ishq mein yar ko chhu kar nahin dekha jata
ai KHuda shahr ke hakim ko hidayat de de
chaar-su 'arsa-e-mahshar nahin dekha jata
hum ki dam toDti qadron ke amin hain hum se
bint-e-hawwa ka khula sar nahin dekha jata
hae us husn-e-bala-KHez ki tasir 'umair'
der tak us ko barabar nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.