gardish-e-waqt ki raftar se baaten ki hain
gardish-e-vaqt kī raftār se bāteñ kī haiñ
ham ne jab gesū-e-ḳhamdār se bāteñ kī haiñ
muddatoñ shab kī siyāhī se patā pūchhā hai
tab kahīñ sub.h ke āsār se bāteñ kī haiñ
āzar-e-vaqt ke hāthoñ se girā hai tesha
ham ne jab 'aks-e-ruḳh-e-yār se bāteñ kī haiñ
kashtiyāñ apnī jalāne kā jab aaya hai ḳhayāl
jazba-e-sidq kī patvār se bāteñ kī haiñ
aaj ke daur-e-siyāsat ko nazar meñ rakh kar
sāqī-e-vaqt ne mai-ḳhvār se bāteñ kī haiñ
jab bhī chāhā hai husūl-e-sanad-e-haq-goī
ahl-e-haq ne rasan-o-dār se bāteñ kī haiñ
gardish-e-waqt ki raftar se baaten ki hain
hum ne jab gesu-e-KHamdar se baaten ki hain
muddaton shab ki siyahi se pata puchha hai
tab kahin subh ke aasar se baaten ki hain
aazar-e-waqt ke hathon se gira hai tesha
hum ne jab 'aks-e-ruKH-e-yar se baaten ki hain
kashtiyan apni jalane ka jab aaya hai KHayal
jazba-e-sidq ki patwar se baaten ki hain
aaj ke daur-e-siyasat ko nazar mein rakh kar
saqi-e-waqt ne mai-KHwar se baaten ki hain
jab bhi chaha hai husul-e-sanad-e-haq-goi
ahl-e-haq ne rasan-o-dar se baaten ki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.