gardish-e-waqt pe hum gahri nazar rakhte hain
gardish-e-waqt pe hum gahri nazar rakhte hain
Sarfraz Khan Nadeem
MORE BYSarfraz Khan Nadeem
gardish-e-vaqt pe ham gahrī nazar rakhte haiñ
apne dushman ko parakhne kā hunar rakhte haiñ
dosto dil ke charāġhoñ ko jalāte haiñ ham
be-sahāroñ ke liye soz-e-jigar rakhte haiñ
apnī ḳhvāhish ko zabāñ par nahīñ laate lekin
ham bhī is dil meñ umīdoñ kā nagar rakhte haiñ
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ samajhte haiñ zamāne vaale
ham magar saare zamāne kī ḳhabar rakhte haiñ
kyoñ Darātā hai hameñ dār-o-rasan se bātil
haq-parastī ke liye daar pe sar rakhte haiñ
daad dete haiñ hameñ raah ke kāñTe bhī 'nadīm'
ābla-pā haiñ magar azm-e-safar rakhte haiñ
gardish-e-waqt pe hum gahri nazar rakhte hain
apne dushman ko parakhne ka hunar rakhte hain
dosto dil ke charaghon ko jalate hain hum
be-sahaaron ke liye soz-e-jigar rakhte hain
apni KHwahish ko zaban par nahin late lekin
hum bhi is dil mein umidon ka nagar rakhte hain
KHwab-e-ghaflat mein samajhte hain zamane wale
hum magar sare zamane ki KHabar rakhte hain
kyon Daraata hai hamein dar-o-rasan se baatil
haq-parasti ke liye dar pe sar rakhte hain
dad dete hain hamein rah ke kanTe bhi 'nadim'
aabla-pa hain magar azm-e-safar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.