gardish-e-waqt se iqbaal pareshan na ho
gardish-e-vaqt se 'iqbāl' pareshān na ho
ye tabāhī bhī guzar jā.egī hairān na ho
sub.h lā.egī kisī aish-o-tarab kā paiġhām
shiddat-e-ranj se itnā tū pareshān na ho
uljhaneñ aur bhī baḌh jaatī haiñ vaqt-e-gardish
jaan lene kī yahī baat hai anjān na ho
ḳhud galā ghoñT ke mar jaa.eñ yaqīnan ik din
ham ko jiine kā agar dahr meñ armān na ho
zindagī us kī bhalā aish meñ kyā guzregī
jis ko duniyā meñ koī aish kā sāmān na ho
ḳhuun se sīñch ke ābād kiyā hai is ko
mere maulā mirā gulshan kabhī vīrān na ho
hai azal se yahī dastūr-e-mohabbat ai dost
shiddat-e-ġham se tū 'iqbāl' pareshān na ho
gardish-e-waqt se 'iqbaal' pareshan na ho
ye tabahi bhi guzar jaegi hairan na ho
subh laegi kisi aish-o-tarab ka paigham
shiddat-e-ranj se itna tu pareshan na ho
uljhanen aur bhi baDh jati hain waqt-e-gardish
jaan lene ki yahi baat hai anjaan na ho
KHud gala ghonT ke mar jaen yaqinan ek din
hum ko jine ka agar dahr mein arman na ho
zindagi us ki bhala aish mein kya guzregi
jis ko duniya mein koi aish ka saman na ho
KHun se sinch ke aabaad kiya hai is ko
mere maula mera gulshan kabhi viran na ho
hai azal se yahi dastur-e-mohabbat ai dost
shiddat-e-gham se tu 'iqbaal' pareshan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.