gardish-e-waqt se yun aankh mila kar dekhe
gardish-e-vaqt se yuuñ aañkh milā kar dekhe
ġham meñ duniyā ke koī ashk bahā kar dekhe
jis tarah nazr kiyā barq ko maiñ ne gulshan
us tarah koī nasheman hī jalā kar dekhe
muskurātā huuñ har ik zulm pe marzī ke ḳhilāf
yuuñ zamāne kā koī dard chhupā kar dekhe
dard-o-ġham makr-o-fareb is ke sivā kuchh na milā
maiñ ne apnoñ ke bahut naaz uThā kar dekhe
saarī duniyā ko hañsātā huuñ maiñ ro kar 'māhir'
naġhma-e-ġham koī is tarah sunā kar dekhe
gardish-e-waqt se yun aankh mila kar dekhe
gham mein duniya ke koi ashk baha kar dekhe
jis tarah nazr kiya barq ko main ne gulshan
us tarah koi nasheman hi jala kar dekhe
muskuraata hun har ek zulm pe marzi ke KHilaf
yun zamane ka koi dard chhupa kar dekhe
dard-o-gham makr-o-fareb is ke siwa kuchh na mila
main ne apnon ke bahut naz uTha kar dekhe
sari duniya ko hansata hun main ro kar 'mahir'
naghma-e-gham koi is tarah suna kar dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.