gardish-e-zamana se kab najat pate hain
gardish-e-zamāna se kab najāt paate haiñ
bijliyoñ kī zad pe jo āshiyāñ banāte haiñ
zāhirī navāzish ko dostī nahīñ kahte
dil agar nahīñ miltā haath kyoñ milāte haiñ
dekhnā hai tum kab tak ham se bair rakkhoge
har qadam pe chāhat ke ham diye jalāte haiñ
ham ne jo zamāne kā kal sabaq paḌhāyā thā
vo usuul ab ham ko aa.ina dikhāte haiñ
zindagī haqīqat meñ jo samajh ke jiite haiñ
vo ḳhushī meñ rote haiñ ġham meñ muskurāte haiñ
ham se ḳhush nahīñ hoñge maslahat ke saudāgar
un ke aib ham aksar raushnī meñ laate haiñ
raat ke añdhere meñ Duub jaate haiñ lekin
sub.h hote hī 'sābir' saa.e sar uThāte haiñ
gardish-e-zamana se kab najat pate hain
bijliyon ki zad pe jo aashiyan banate hain
zahiri nawazish ko dosti nahin kahte
dil agar nahin milta hath kyon milate hain
dekhna hai tum kab tak hum se bair rakkhoge
har qadam pe chahat ke hum diye jalate hain
hum ne jo zamane ka kal sabaq paDhaya tha
wo usul ab hum ko aaina dikhate hain
zindagi haqiqat mein jo samajh ke jite hain
wo KHushi mein rote hain gham mein muskuraate hain
hum se KHush nahin honge maslahat ke saudagar
un ke aib hum aksar raushni mein late hain
raat ke andhere mein Dub jate hain lekin
subh hote hi 'sabir' sae sar uThate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.