gardish mein sitare hon jis ke duniya ko bhala kab bhata hai
gardish mein sitare hon jis ke duniya ko bhala kab bhata hai
Basudeo Agarwal Naman
MORE BYBasudeo Agarwal Naman
gardish meñ sitāre hoñ jis ke duniyā ko bhalā kab bhātā hai
vo laakh paTak le sar apnā par jag se sazā hī paatā hai
muflis kā bhī jiinā kyā jiinā jo ghūñT lahū ke pī jaa.e
jitnā vo jhuke jag ke aage utnī hī vo Thokar khātā hai
ai dard chalā jā aur kahīñ is dil ko bhī thoḌī rāhat ho
kyoñ uTh ke ġharīboñ ke dar se mujh ko hī sadā taḌpātā hai
itnā bhī na achchhā vahshī-pan daulat ke nashe meñ pāgal sun
jo hai na kabhī Tikne vaalī us chiiz pe kyoñ itrātā hai
bhejā thā banā jis ko rahbar par pesh vo rahzan sā aayā
ab kaise yaqīñ us par kar leñ jo rañg badal phir aatā hai
maanā ki jahāñ nāyāb ḳhudā kārīgarī hai is meñ terī
par dil ko manā.eñ kaise ham rah kar jo yahāñ ghabrātā hai
ye shauq naman ne paalā hai dukh dard pirotā ġhazloñ meñ
bedard zamāne par hañstā mazlūm pe aañsū laatā hai
gardish mein sitare hon jis ke duniya ko bhala kab bhata hai
wo lakh paTak le sar apna par jag se saza hi pata hai
muflis ka bhi jina kya jina jo ghunT lahu ke pi jae
jitna wo jhuke jag ke aage utni hi wo Thokar khata hai
ai dard chala ja aur kahin is dil ko bhi thoDi rahat ho
kyon uTh ke gharibon ke dar se mujh ko hi sada taDpata hai
itna bhi na achchha wahshi-pan daulat ke nashe mein pagal sun
jo hai na kabhi Tikne wali us chiz pe kyon itraata hai
bheja tha bana jis ko rahbar par pesh wo rahzan sa aaya
ab kaise yaqin us par kar len jo rang badal phir aata hai
mana ki jahan nayab KHuda karigari hai is mein teri
par dil ko manaen kaise hum rah kar jo yahan ghabraata hai
ye shauq naman ne pala hai dukh dard pirota ghazlon mein
bedard zamane par hansta mazlum pe aansu lata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.