gardishon mein bhi hum rasta pa gae
gardishoñ meñ bhī ham rāsta pā ga.e
jis galī se chale the vahīñ aa ga.e
nā-gahāñ us ne jab pursish-e-hāl kī
aañkh nam ho ga.ī hoñT tharrā ga.e
zikr jab bhī chhiḌā hai vafā kā kahīñ
jaane kyuuñ ham ko kuchh dost yaad aa ga.e
haath ulajhne lage jeb-o-dastāñ se kyuuñ
ai junūñ kyā bahāroñ ke din aa ga.e
vo nazar uTh ga.ī jab sar-e-mai-kada
ḳhud ba-ḳhud jaam se jaam Takrā ga.e
aise nāzuk to 'iqbāl' ham bhī na the
log nādān the ham se Takrā ga.e
gardishon mein bhi hum rasta pa gae
jis gali se chale the wahin aa gae
na-gahan us ne jab pursish-e-haal ki
aankh nam ho gai honT tharra gae
zikr jab bhi chhiDa hai wafa ka kahin
jaane kyun hum ko kuchh dost yaad aa gae
hath ulajhne lage jeb-o-dastan se kyun
ai junun kya bahaaron ke din aa gae
wo nazar uTh gai jab sar-e-mai-kada
KHud ba-KHud jam se jam Takra gae
aise nazuk to 'iqbaal' hum bhi na the
log nadan the hum se Takra gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.