gardishon se yun ubhar jaane ko ji chahta hai
gardishoñ se yuuñ ubhar jaane ko jī chāhtā hai
shaam se pahle hī ghar jaane ko jī chāhtā hai
tum ko rakhnā hai rakho tark-e-ta.alluq kā bharam
merā va.ade se mukar jaane ko jī chāhtā hai
mulk-o-maz.hab ke qavānīn to sar āñkhoñ par
ishq meñ had se guzar jaane ko jī chāhtā hai
farsh-e-duniyā pe maiñ muddat se jiyā huuñ ab to
chāñd-tāroñ se guzar jaane ko jī chāhtā hai
baad marne ke mujhe yaad rakhe ye duniyā
kaam kuchh aise bhī kar jaane ko jī chāhtā hai
zindagī dī hai usī ne vahī māregā magar
in dinoñ yuuñ hai ki mar jaane ko jī chāhtā hai
bin bulāvā maiñ kabhī 'nazr' na jaatā huuñ kahīñ
bazm hai un kī magar jaane ko jī chāhtā hai
gardishon se yun ubhar jaane ko ji chahta hai
sham se pahle hi ghar jaane ko ji chahta hai
tum ko rakhna hai rakho tark-e-talluq ka bharam
mera wade se mukar jaane ko ji chahta hai
mulk-o-mazhab ke qawanin to sar aankhon par
ishq mein had se guzar jaane ko ji chahta hai
farsh-e-duniya pe main muddat se jiya hun ab to
chand-taron se guzar jaane ko ji chahta hai
baad marne ke mujhe yaad rakhe ye duniya
kaam kuchh aise bhi kar jaane ko ji chahta hai
zindagi di hai usi ne wahi marega magar
in dinon yun hai ki mar jaane ko ji chahta hai
bin bulawa main kabhi 'nazr' na jata hun kahin
bazm hai un ki magar jaane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.