gardun pe chand bujh gaya gham ki faza ke baad
gardūñ pe chāñd bujh gayā ġham kī fazā ke baa'd
zulmat tamām chhā ga.ī shām-e-balā ke baa'd
ik be-karāñ vujūd kā hissa hai ye bashar
insāñ bahut 'azīm hai lekin ḳhudā ke baa'd
banjar zamīñ pe ḳhūn-e-riyāzat bahā gayā
vo kaun thā ugā gayā paudā du'ā ke baa'd
mujh ko milā ke ḳhaak meñ vo kah rahe haiñ ye
hai ibtidā hamārī tirī intihā ke baa'd
chāhe zamāna mujh ko chaḌhā de salīb par
terā hī naam aa.egā lab par ḳhudā ke baa'd
kal raat mere shahr kā manzar 'ajīb thā
sab kuchh bahā ke le gayā dariyā havā ke baa'd
gardun pe chand bujh gaya gham ki faza ke ba'd
zulmat tamam chha gai sham-e-bala ke ba'd
ek be-karan wujud ka hissa hai ye bashar
insan bahut 'azim hai lekin KHuda ke ba'd
banjar zamin pe KHun-e-riyazat baha gaya
wo kaun tha uga gaya pauda du'a ke ba'd
mujh ko mila ke KHak mein wo kah rahe hain ye
hai ibtida hamari teri intiha ke ba'd
chahe zamana mujh ko chaDha de salib par
tera hi nam aaega lab par KHuda ke ba'd
kal raat mere shahr ka manzar 'ajib tha
sab kuchh baha ke le gaya dariya hawa ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.