gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai
garebāñ dar garebāñ nukta-ārā.ī bhī hotī hai
bahār aa.e to dīvānoñ kī rusvā.ī bhī hotī hai
ham un kī bazm tak jā hī pahuñchte haiñ kisī sūrat
agarche raah meñ dīvār-e-tanhā.ī bhī hotī hai
bikhartī hai vahī aksar ḳhizāñ-parvar bahāroñ meñ
chaman meñ jo kalī pahle se murjhā.ī bhī hotī hai
ba-nām-e-kufr-o-īmāñ be-muravvat haiñ jahāñ donoñ
vahāñ shaiḳh-o-barahman kī shanāsā.ī bhī hotī hai
chamaktī hai koī bijlī to sham'-e-rahguzar ban kar
nigāh-e-barham in kī kuchh to sharmā.ī bhī hotī hai
'qatīl' us dam bhī rahtā hai yahī ehsās-e-mahrūmī
jab un shānoñ pe zulfoñ kī ghaTā chhā.ī bhī hotī hai
gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai
bahaar aae to diwanon ki ruswai bhi hoti hai
hum un ki bazm tak ja hi pahunchte hain kisi surat
agarche rah mein diwar-e-tanhai bhi hoti hai
bikharti hai wahi aksar KHizan-parwar bahaaron mein
chaman mein jo kali pahle se murjhai bhi hoti hai
ba-nam-e-kufr-o-iman be-murawwat hain jahan donon
wahan shaiKH-o-barahman ki shanasai bhi hoti hai
chamakti hai koi bijli to sham'-e-rahguzar ban kar
nigah-e-barham in ki kuchh to sharmai bhi hoti hai
'qatil' us dam bhi rahta hai yahi ehsas-e-mahrumi
jab un shanon pe zulfon ki ghaTa chhai bhi hoti hai
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 91)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.