gareban ko rafu karne lage hain
garebāñ ko rafū karne lage haiñ
navāzish ḳhūb-rū karne lage haiñ
qayāmat hai lab-e-nāzuk se apne
vo sharh-e-ārzū karne lage haiñ
sar-e-maqtal na jaane kis kā ḳhuuñ hai
farishte bhī vuzū karne lage haiñ
na jaane sūjhī kyā baiThe biThā.e
tumhārī aarzū karne lage haiñ
nigāhoñ se kabhī jo bolte the
zabāñ se guftugū karne lage haiñ
azal se gum hai jo pardoñ meñ 'jauhar'
usī kī justujū karne lage haiñ
gareban ko rafu karne lage hain
nawazish KHub-ru karne lage hain
qayamat hai lab-e-nazuk se apne
wo sharh-e-arzu karne lage hain
sar-e-maqtal na jaane kis ka KHun hai
farishte bhi wuzu karne lage hain
na jaane sujhi kya baiThe biThae
tumhaari aarzu karne lage hain
nigahon se kabhi jo bolte the
zaban se guftugu karne lage hain
azal se gum hai jo pardon mein 'jauhar'
usi ki justuju karne lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.