gharib chhaon pe jab shams-e-dahr Tut paDa
gharib chhaon pe jab shams-e-dahr Tut paDa
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
ġharīb chhāoñ pe jab shams-e-dahr Tuut paḌā
to āsmān se duniyā pe qahr Tuut paḌā
ilāhī ḳhair ki ab tū hī aabrū rakhnā
fasīl-e-nahr pe sailāb-e-bahr Tuut paḌā
hamāre jism ke qil’e kī shaam jaise hī aa.ī
hazāroñ Tīsoñ ke ḳhanjar kā zahr Tuut paḌā
ġharīb shaḳhs kī mayyat meñ chaar shaḳhs na the
amīr-e-shahr kī dā'vat pe shahr Tuut paḌā
kisī kī surma.ī āñkhoñ ko dekh kar gum-sum
kisī kī ruuh pe kohsār-e-jahr Tuut paḌā
zarā sī fan kī kamī dekhte hī kyā kahiye
jo mujh meñ chup thā vo ġhāzī-e-bahr Tuut paḌā
gharib chhaon pe jab shams-e-dahr Tut paDa
to aasman se duniya pe qahr Tut paDa
ilahi KHair ki ab tu hi aabru rakhna
fasil-e-nahr pe sailab-e-bahr Tut paDa
hamare jism ke qil’e ki sham jaise hi aai
hazaron Tison ke KHanjar ka zahr Tut paDa
gharib shaKHs ki mayyat mein chaar shaKHs na the
amir-e-shahr ki da'wat pe shahr Tut paDa
kisi ki surmai aankhon ko dekh kar gum-sum
kisi ki ruh pe kohsar-e-jahr Tut paDa
zara si fan ki kami dekhte hi kya kahiye
jo mujh mein chup tha wo ghazi-e-bahr Tut paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.