garm hai husn ka bazar KHuda KHair kare
garm hai husn ka bazar KHuda KHair kare
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
garm hai husn kā bāzār ḳhudā ḳhair kare
aam hai sharbat-e-dīdār ḳhudā ḳhair kare
dekhiye garmī-e-guftār ḳhudā ḳhair kare
ho na jaa.e kahīñ takrār ḳhudā ḳhair kare
ab kahāñ jaa.eñ tire chāhne vaale āḳhir
charḳh hai darpa.e-āzār ḳhudā ḳhair kare
kal jo dam bharte the ai dost mohabbat kā mirī
un ke hoñToñ pe hai inkār ḳhudā ḳhair kare
mujh se bargashta muqaddar hī nazar aatā hai
bigḌe bigḌe se haiñ sarkār ḳhudā ḳhair kare
chal ke pūchheñ to zarā bāzū-e-qātil kā haal
le ke vo nikle haiñ talvār ḳhudā ḳhair kare
haa.e ai josh-e-junūñ ab to ye hālat hai mirī
dekh kar kahte haiñ aġhyār ḳhudā ḳhair kare
chauñk uTTheñ na kahīñ qabr ke sone vaale
aap kī shoḳhī-e-raftār ḳhudā ḳhair kare
ġhair ke jaur-o-sitam kā karūñ kis se shikva
apnoñ ke badle jab atvār ḳhudā ḳhair kare
ḳhaar hī ḳhaar nazar aate haiñ gulshan meñ 'shafī.a'
suunā suunā sā hai gulzār ḳhudā ḳhair kare
garm hai husn ka bazar KHuda KHair kare
aam hai sharbat-e-didar KHuda KHair kare
dekhiye garmi-e-guftar KHuda KHair kare
ho na jae kahin takrar KHuda KHair kare
ab kahan jaen tere chahne wale aaKHir
charKH hai darpae-azar KHuda KHair kare
kal jo dam bharte the ai dost mohabbat ka meri
un ke honTon pe hai inkar KHuda KHair kare
mujh se bargashta muqaddar hi nazar aata hai
bigDe bigDe se hain sarkar KHuda KHair kare
chal ke puchhen to zara bazu-e-qatil ka haal
le ke wo nikle hain talwar KHuda KHair kare
hae ai josh-e-junun ab to ye haalat hai meri
dekh kar kahte hain aghyar KHuda KHair kare
chaunk uTThen na kahin qabr ke sone wale
aap ki shoKHi-e-raftar KHuda KHair kare
ghair ke jaur-o-sitam ka karun kis se shikwa
apnon ke badle jab atwar KHuda KHair kare
KHar hi KHar nazar aate hain gulshan mein 'shafia'
suna suna sa hai gulzar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.