garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hone tak
garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hone tak
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
garmī-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
chain se baiTheñ vo aahoñ meñ asar hone tak
zabt kartī thī mirī be-ḳhudī-e-shauq kahīñ
pahuñchā manzil pe maiñ sāmān-e-safar hone tak
vaj.h-e-taskīñ hai ye mujh ko shab-e-tanhā.ī meñ
bāteñ kartā huuñ tire ġham se sahar hone tak
kitnā barbād kare dekhiye ye shauq-e-faroġh
ḳhaak ke zarroñ ko ham-rang-e-sharar hone tak
ab to aatā hai mujhe apnī hañsī par ronā
aarzū hañsne kī thī chashm ke tar hone tak
kisī pahlū nahīñ miltā shab-e-ġham dil ko sukūñ
ek hālat se taḌaptā huuñ sahar hone tak
bas-ki hai jalva-e-duniyā sabab-e-marg-e-nigāh
chāhiye qat-e-nazar zauq-e-nazar hone tak
kaash ban jaa.eñ ye nuqte varaq-e-hastī ke
ashk-e-ġham dāman-e-rangīñ pe guhar hone tak
ab to har zarra ik ā.īna-e-irfāñ hai mujhe
thī ye sab be-ḳhabarī apnī ḳhabar hone tak
vo jafā-dost huuñ miltī nahīñ rāhat mujh ko
vaqf-e-teġh-e-nigah-o-tīr-e-nazar hone tak
kitnā pur-kaif hai jazbāt meñ Duubā honā
kyoñ farishta banūñ duniyā meñ bashar hone tak
tirā dil bhī hai ajab fikr-farāmosh 'junūñ'
miT ga.e raat ke sab ranj sahar hone tak
garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hone tak
chain se baiThen wo aahon mein asar hone tak
zabt karti thi meri be-KHudi-e-shauq kahin
pahuncha manzil pe main saman-e-safar hone tak
wajh-e-taskin hai ye mujh ko shab-e-tanhai mein
baaten karta hun tere gham se sahar hone tak
kitna barbaad kare dekhiye ye shauq-e-farogh
KHak ke zarron ko ham-rang-e-sharar hone tak
ab to aata hai mujhe apni hansi par rona
aarzu hansne ki thi chashm ke tar hone tak
kisi pahlu nahin milta shab-e-gham dil ko sukun
ek haalat se taDapta hun sahar hone tak
bas-ki hai jalwa-e-duniya sabab-e-marg-e-nigah
chahiye qat-e-nazar zauq-e-nazar hone tak
kash ban jaen ye nuqte waraq-e-hasti ke
ashk-e-gham daman-e-rangin pe guhar hone tak
ab to har zarra ek aaina-e-irfan hai mujhe
thi ye sab be-KHabari apni KHabar hone tak
wo jafa-dost hun milti nahin rahat mujh ko
waqf-e-tegh-e-nigah-o-tir-e-nazar hone tak
kitna pur-kaif hai jazbaat mein Duba hona
kyon farishta banun duniya mein bashar hone tak
tera dil bhi hai ajab fikr-faramosh 'junun'
miT gae raat ke sab ranj sahar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.