garmi-e-mohabbat na dabi sair-e-chaman se
garmi-e-mohabbat na dabi sair-e-chaman se
Mohammad Usmaan aarif
MORE BYMohammad Usmaan aarif
garmī-e-mohabbat na dabī sair-e-chaman se
lipTī huī yādeñ haiñ kisī sho'la-badan se
ik ġhuncha-e-nauras ke jo lab chuum liye the
muddat huī ḳhushbū na ga.ī kām-o-dahan se
hangāma-e-duniyā meñ tirī yaad kā 'ālam
jhoñkā sā havā kā jo nikal jaatā hai san se
fankār qalam ḳhuun meñ apne hī Dubo kar
sau naqsh banā saktā hai ik naqsh-e-kuhan se
barbād nasheman kā nishāñ pūchh rahā huuñ
har ḳhaar se har phuul se har barg-e-chaman se
un ḳhāna-ḳharāboñ kī musībat are tauba
be-vaj.h nikāle ga.e 'ārif' jo vatan se
garmi-e-mohabbat na dabi sair-e-chaman se
lipTi hui yaaden hain kisi sho'la-badan se
ek ghuncha-e-nauras ke jo lab chum liye the
muddat hui KHushbu na gai kaam-o-dahan se
hangama-e-duniya mein teri yaad ka 'alam
jhonka sa hawa ka jo nikal jata hai san se
fankar qalam KHun mein apne hi Dubo kar
sau naqsh bana sakta hai ek naqsh-e-kuhan se
barbaad nasheman ka nishan puchh raha hun
har KHar se har phul se har barg-e-chaman se
un KHana-KHarabon ki musibat are tauba
be-wajh nikale gae 'arif' jo watan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.