gharq kar den na kahin yas ke tufan mujhko
ġharq kar deñ na kahīñ yaas ke tūfāñ mujh ko
ye kidhar le ke chale haiñ mire armāñ mujh ko
ḳhud mashī.at ne kiyā ishq-badāmāñ mujh ko
kyoñ na taḌpā.e phir ab gardish-e-daurāñ mujh ko
merī nākāmī-e-taqdīr kā anjām na pūchh
mauja-e-ashk huā bāda-e-irfāñ mujh ko
aish-e-duniyā ke maze the dil-e-marhūm ke saath
ab to duniyā hai faqat gosha-e-vīrāñ mujh ko
haa.e kyā kyā na kiyā ek mazāq-e-ġham ne
chāk-dil chāk-jigar chāk-garebāñ mujh ko
kab hai mahdūd bahāroñ meñ nazar kī vus.at
ya.anī ye phuul bhī haiñ ḳhār-e-muġhīlāñ mujh ko
nazar aane lagī har zarra meñ apnī hī shabīh
kar diyā kasrat-e-nazzāra ne hairāñ mujh ko
dil kī ta.amīr kā zāmin hai kamāl-e-taḳhrīb
dard ho jā.egā ḳhud dard kā darmāñ mujh ko
bahr-e-ulfat meñ nahīñ ḳhvāhish-e-sāhil ai 'mauj'
maiñ na tūfān ko choḌūñgā na tūfāñ mujh ko
gharq kar den na kahin yas ke tufan mujh ko
ye kidhar le ke chale hain mere arman mujh ko
KHud mashiat ne kiya ishq-badaman mujh ko
kyon na taDpae phir ab gardish-e-dauran mujh ko
meri nakaami-e-taqdir ka anjam na puchh
mauja-e-ashk hua baada-e-irfan mujh ko
aish-e-duniya ke maze the dil-e-marhum ke sath
ab to duniya hai faqat gosha-e-viran mujh ko
hae kya kya na kiya ek mazaq-e-gham ne
chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban mujh ko
kab hai mahdud bahaaron mein nazar ki wusat
yani ye phul bhi hain KHar-e-mughilan mujh ko
nazar aane lagi har zarra mein apni hi shabih
kar diya kasrat-e-nazzara ne hairan mujh ko
dil ki tamir ka zamin hai kamal-e-taKHrib
dard ho jaega KHud dard ka darman mujh ko
bahr-e-ulfat mein nahin KHwahish-e-sahil ai 'mauj'
main na tufan ko choDunga na tufan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.