gharq sa wo ho gaya ek aalam-e-KHamoshi mein
ġharq sā vo ho gayā ik ālam-e-ḳhāmoshī meñ
jis ne bhī jhāñkā mire ḳhvāboñ kī library meñ
TuuT kar phir se juḌā huuñ ḳhud-baḳhud muddat ke baad
ab na jaane kyā banā huuñ is nau be-tartībī meñ
hāl-e-dil kis ko sunā.eñ jaa.eñ kis ke paas ham
ḳhud ko luuTā hai hamī ne apnī pahre-dārī meñ
har koī kahtā phire hai ye kahānī merī hai
naam jab likkhā nahīñ maiñ ne savāneh-umrī meñ
lahreñ ban kar bah ga.e ġham sab mire yak-dam ki jab
maiñ barahna paañv utrā ThanDe ThanDe paanī meñ
vo buḌhāpā dekh letā hai javānī meñ sadā
jis kā bachpan ho basar kumbe kī zimmedārī meñ
paas baiThe raat bhar 'mansūr' mujh ko dekhnā
lūTnā un ko kabhī aaya na afrātafrī meñ
gharq sa wo ho gaya ek aalam-e-KHamoshi mein
jis ne bhi jhanka mere KHwabon ki library mein
TuT kar phir se juDa hun KHud-baKHud muddat ke baad
ab na jaane kya bana hun is nau be-tartibi mein
haal-e-dil kis ko sunaen jaen kis ke pas hum
KHud ko luTa hai hami ne apni pahre-dari mein
har koi kahta phire hai ye kahani meri hai
nam jab likkha nahin main ne sawaneh-umri mein
lahren ban kar bah gae gham sab mere yak-dam ki jab
main barahna panw utra ThanDe ThanDe pani mein
wo buDhapa dekh leta hai jawani mein sada
jis ka bachpan ho basar kumbe ki zimmedari mein
pas baiThe raat bhar 'mansur' mujh ko dekhna
luTna un ko kabhi aaya na afraatafri mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.