gauhar-e-nayab ko kahta hai patthar aadmi
gauhar-e-nāyāb ko kahtā hai patthar aadmī
pattharoñ ko kahtā hai nāyāb gauhar aadmī
tum karo ye faisla kab us se milnā chāhiye
din meñ khiltā phuul hai shab meñ hai ḳhanjar aadmī
mere chehre ko ba-ḳhūbī raaz ye ma.alūm hai
aadmī kab aa.ina hai kab hai patthar aadmī
apnī āñkheñ band karke kartā hai jab bhī safar
rāste meñ khātā hai Thokar pe Thokar aadmī
ḳhabt kā gahrā samundar sabr kā ūñchā pahāḌ
aañkh meñ rakhtā hai kaisā kaisā manzar aadmī
jab jalātā hai ġharīboñ ko sitam kī aag meñ
us ghaḌī hotā hai sūraj ke barābar aadmī
aage hai daldal kī bastī pīchhe hai shahr-e-sharar
chhoḌ kar āḳhir kidhar jaa.e samundar aadmī
aane vaalā hai koī tūfān bahr-e-vaqt meñ
apnī apnī naav kā ban jaa.e langar aadmī
āsmāñ kī vus.atoñ se pūchh le jā kar 'qamar'
kab dikhā.ī detā hai gahrā samundar aadmī
gauhar-e-nayab ko kahta hai patthar aadmi
pattharon ko kahta hai nayab gauhar aadmi
tum karo ye faisla kab us se milna chahiye
din mein khilta phul hai shab mein hai KHanjar aadmi
mere chehre ko ba-KHubi raaz ye malum hai
aadmi kab aaina hai kab hai patthar aadmi
apni aankhen band karke karta hai jab bhi safar
raste mein khata hai Thokar pe Thokar aadmi
KHabt ka gahra samundar sabr ka uncha pahaD
aankh mein rakhta hai kaisa kaisa manzar aadmi
jab jalata hai gharibon ko sitam ki aag mein
us ghaDi hota hai suraj ke barabar aadmi
aage hai daldal ki basti pichhe hai shahr-e-sharar
chhoD kar aaKHir kidhar jae samundar aadmi
aane wala hai koi tufan bahr-e-waqt mein
apni apni naw ka ban jae langar aadmi
aasman ki wusaton se puchh le ja kar 'qamar'
kab dikhai deta hai gahra samundar aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.