ghaur se jab KHud ko dekha hosh kho baiTha koi
ghaur se jab KHud ko dekha hosh kho baiTha koi
Mohammad Ghulam Nurani
MORE BYMohammad Ghulam Nurani
ġhaur se jab ḳhud ko dekhā hosh kho baiThā koī
aa.ine ke sāmne thā ajnabī chehra koī
ab to har chehra nazar meñ qābil-e-dīdār hai
hai 'ayāñ har sūrat-e-anfās meñ jalva koī
do-jahāñ kī ne'mateñ farzand-e-ādam ke liye
ab faqat kyūñkar kare firdaus kā dā'vā koī
vāste apne ye duniyā hashr kā maidān hai
hai yahīñ par koī mālik aur hai banda koī
ghaur se jab KHud ko dekha hosh kho baiTha koi
aaine ke samne tha ajnabi chehra koi
ab to har chehra nazar mein qabil-e-didar hai
hai 'ayan har surat-e-anfas mein jalwa koi
do-jahan ki ne'maten farzand-e-adam ke liye
ab faqat kyunkar kare firdaus ka da'wa koi
waste apne ye duniya hashr ka maidan hai
hai yahin par koi malik aur hai banda koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.