ghaur se tu dil ke andar dekh le
ġhaur se tū dil ke andar dekh le
ek qatre meñ samundar dekh le
lauT kar kyā jaane phir kab aa.egā
ik nazar is ghar ko jī bhar dekh le
koī rakhvālā hai tere saath saath
ab na khā.egā tujhe Dar dekh le
us kā zimma hai ki hogā kāmyāb
phal binā hī kaam kar ke dekh le
vāhima insāñ kā hai vaj.h-e-fasād
koī masjid koī mandar dekh le
vo jo milne ko hai mujh se be-qarār
āstīñ meñ us kī ḳhanjar dekh le
ghar tirā hai kis jagah maiñ kyā kahūñ
ḳhud huuñ ik arse se be-ghar dekh le
ghaur se tu dil ke andar dekh le
ek qatre mein samundar dekh le
lauT kar kya jaane phir kab aaega
ek nazar is ghar ko ji bhar dekh le
koi rakhwala hai tere sath sath
ab na khaega tujhe Dar dekh le
us ka zimma hai ki hoga kaamyab
phal bina hi kaam kar ke dekh le
wahima insan ka hai wajh-e-fasad
koi masjid koi mandar dekh le
wo jo milne ko hai mujh se be-qarar
aastin mein us ki KHanjar dekh le
ghar tera hai kis jagah main kya kahun
KHud hun ek arse se be-ghar dekh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.