gawain hathon se tumne apne wo chahaten ab nahin milengi
gavā.īñ hāthoñ se tum ne apne vo chāhateñ ab nahīñ mileñgī
qasam hai āġhosh-e-gum-shuda kī vo ulfateñ ab nahīñ mileñgī
dayār-e-maġhrib meñ aa base ho yahāñ pe mashriq ko DhūñDte ho
jhalak ho sharm-o-hayā kī jin meñ vo ne'mateñ ab nahīñ mileñgī
mafād thā jo 'azīz tum ko sabhī se rishta hī toḌ baiThe
jo apne hāthoñ se kho chuke vo mohabbateñ ab nahīñ mileñgī
buland-o-bālā 'imāratoñ meñ jo DhūñDte ho sukūn-e-dil ko
muhayyā chhoTe makāñ meñ thiiñ jo vo rāhateñ ab nahīñ mileñgī
khulī khulī thiiñ diloñ kī rāheñ sabhī diloñ meñ bahut jagah thī
banī haiñ mazbūt sarhadeñ so vo qurbateñ ab nahīñ mileñgī
dikhā chuke ho bahut hī ġhussa bahut ziyāda manā chukī maiñ
qadam qadam par vo pahlī 'shamsa' vazāhateñ ab nahīñ mileñgī
gawain hathon se tum ne apne wo chahaten ab nahin milengi
qasam hai aaghosh-e-gum-shuda ki wo ulfaten ab nahin milengi
dayar-e-maghrib mein aa base ho yahan pe mashriq ko DhunDte ho
jhalak ho sharm-o-haya ki jin mein wo ne'maten ab nahin milengi
mafad tha jo 'aziz tum ko sabhi se rishta hi toD baiThe
jo apne hathon se kho chuke wo mohabbaten ab nahin milengi
buland-o-baala 'imaraton mein jo DhunDte ho sukun-e-dil ko
muhayya chhoTe makan mein thin jo wo rahaten ab nahin milengi
khuli khuli thin dilon ki rahen sabhi dilon mein bahut jagah thi
bani hain mazbut sarhaden so wo qurbaten ab nahin milengi
dikha chuke ho bahut hi ghussa bahut ziyaada mana chuki main
qadam qadam par wo pahli 'shamsa' wazahaten ab nahin milengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.