gaya wo chhoD kar kamre hamare
gayā vo chhoḌ kar kamre hamāre
so ab haiñ band darvāze hamāre
vo har qīmat pe ham ko chāhtā hai
use manzūr haiñ naḳhre hamāre
vo jis ke vāste pahne the ham ne
pasand aa.e use kapḌe hamāre
bichhaḌ kar tujh se ġhazloñ se hue haiñ
marāsim aur bhī gahre hamāre
hamārī pagḌiyāñ tak bik chukī haiñ
magar utre nahīñ nashshe hamāre
kabhī to naam chaltā thā hamārā
ki ab chalte nahīñ sikke hamāre
ġhazal ke sher sab achchhe nahīñ haiñ
magar achchhe haiñ kuchh misre hamāre
tumhāre ahd bhī sachche kahāñ the
chalo jhūTe the kuchh va.ade hamāre
ham apne gaañv ke majnūñ haiñ 'shādāb'
bahut mash.hūr haiñ qisse hamāre
gaya wo chhoD kar kamre hamare
so ab hain band darwaze hamare
wo har qimat pe hum ko chahta hai
use manzur hain naKHre hamare
wo jis ke waste pahne the hum ne
pasand aae use kapDe hamare
bichhaD kar tujh se ghazlon se hue hain
marasim aur bhi gahre hamare
hamari pagDiyan tak bik chuki hain
magar utre nahin nashshe hamare
kabhi to nam chalta tha hamara
ki ab chalte nahin sikke hamare
ghazal ke sher sab achchhe nahin hain
magar achchhe hain kuchh misre hamare
tumhaare ahd bhi sachche kahan the
chalo jhuTe the kuchh wade hamare
hum apne ganw ke majnun hain 'shadab'
bahut mashhur hain qisse hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.