ghazab hain piTte jhallate peDon mein jo ye lahraati gati Tahniyan hain
ghazab hain piTte jhallate peDon mein jo ye lahraati gati Tahniyan hain
Yasir Iqbal
MORE BYYasir Iqbal
ġhazab haiñ pīTte jhallāte peḌoñ meñ jo ye lahrātī gaatī Tahniyāñ haiñ
sarāsar ye janāb-e-jhunD kī tinkā-sarā.ī hai ham achchhī Tahniyāñ haiñ
sakhī jaisā nasība hai parā.ī god kī tash.hīr se to ye saphal hai
bahan mālan ke darvāze pe laTkī asl meñ pairoñ meñ bikhrī Tahniyāñ haiñ
bahut pahuñche hue kaḌiyal tane ko ḳhvāb meñ shāyad lakaḌhārā dikhā hai
harāaval kī jaḌoñ ke saañs ukhaḌte jā rahe haiñ sahmī sahmī Tahniyāñ haiñ
bagūloñ kī ḳhabar par Doltī Daalī ne ik gunjān Tahnī se kahā thā
ḳhudā rakkhe shagūfoñ koñpaloñ se to pareshān aaj saarī Tahniyāñ haiñ
hare hāthoñ pe shajre phuul uThātī aur ḳhizāñ kī jholiyoñ meñ phal girātī
ye hazrat TunD kī gustāḳh haiñ ye 'āqibat ko bhuul baiThī Tahniyāñ haiñ
buzurgo bhā.iyo bahno bhale jitnā lachak leñ yā chaTak leñ yā mahak leñ
sabhī ātish-kade kī jhoñk haiñ koī tanāvar haiñ ki chhoTī Tahniyāñ haiñ
hameñ pākīza shajroñ kī numū-yābī ke khāte meñ kahīñ likkhā na jaa.e
ham apne barguzīda bargadoñ ke hāshiyoñ se bāhar aa.ī Tahniyāñ haiñ
ghazab hain piTte jhallate peDon mein jo ye lahraati gati Tahniyan hain
sarasar ye janab-e-jhunD ki tinka-sarai hai hum achchhi Tahniyan hain
sakhi jaisa nasiba hai parai god ki tashhir se to ye saphal hai
bahan malan ke darwaze pe laTki asl mein pairon mein bikhri Tahniyan hain
bahut pahunche hue kaDiyal tane ko KHwab mein shayad lakaDhaara dikha hai
haraawal ki jaDon ke sans ukhaDte ja rahe hain sahmi sahmi Tahniyan hain
bagulon ki KHabar par Dolti Dali ne ek gunjaan Tahni se kaha tha
KHuda rakkhe shagufon konpalon se to pareshan aaj sari Tahniyan hain
hare hathon pe shajre phul uThati aur KHizan ki jholiyon mein phal giraati
ye hazrat TunD ki gustaKH hain ye 'aqibat ko bhul baiThi Tahniyan hain
buzurgo bhaiyo bahno bhale jitna lachak len ya chaTak len ya mahak len
sabhi aatish-kade ki jhonk hain koi tanawar hain ki chhoTi Tahniyan hain
hamein pakiza shajron ki numu-yabi ke khate mein kahin likkha na jae
hum apne barguzida bargadon ke hashiyon se bahar aai Tahniyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.