ghazab ka shahr hai sab ko udas rakhta hai
ġhazab kā shahr hai sab ko udaas rakhtā hai
par is meñ har koī basne kī aas rakhtā hai
jahāñ ke taur-tarīqe samajh bhī saktā huuñ
tirā ḳhayāl mujhe nā-shanās rakhtā hai
rakhā hai duur bahut dard ko davāoñ se
charāġh kaun havāoñ ke paas rakhtā hai
ye jism-o-jān to duniyā ke kaam aa.e haiñ
ab āsmāñ mirī sāñsoñ kī aas rakhtā hai
riyā tū jis ko samajhtā hai vo hayā hai yahāñ
ki sach bhī jhuuT kā ḳhud par libās rakhtā hai
vo ḳhud ko rind bhī kahtā hai aur zāhid bhī
vo apne haath meñ ḳhālī gilās rakhtā hai
lihāz apnī hī ġhairat kā hai kise 'zarra'
aur ek tū hai jo ġhairoñ kā paas rakhtā hai
ghazab ka shahr hai sab ko udas rakhta hai
par is mein har koi basne ki aas rakhta hai
jahan ke taur-tariqe samajh bhi sakta hun
tera KHayal mujhe na-shanas rakhta hai
rakha hai dur bahut dard ko dawaon se
charagh kaun hawaon ke pas rakhta hai
ye jism-o-jaan to duniya ke kaam aae hain
ab aasman meri sanson ki aas rakhta hai
riya tu jis ko samajhta hai wo haya hai yahan
ki sach bhi jhuT ka KHud par libas rakhta hai
wo KHud ko rind bhi kahta hai aur zahid bhi
wo apne hath mein KHali gilas rakhta hai
lihaz apni hi ghairat ka hai kise 'zarra'
aur ek tu hai jo ghairon ka pas rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.