ghazab mein shishagar hai aur main hun
ghazab mein shishagar hai aur main hun
Khurshid Khawar Amrohvi
MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi
ġhazab meñ shīshagar hai aur maiñ huuñ
mirā shīshe kā ghar hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-tez-tar hai aur maiñ huuñ
mohabbat kā asar hai aur maiñ huuñ
sukūñ mujh ko mayassar kis tarah ho
ki ābādī meñ ghar hai aur maiñ huuñ
kab aa.e manzil-e-maqsūd dekho
taḳhayyul kā safar hai aur maiñ huuñ
batā.ūñ kyā mashāġhil zindagī ke
kisī kā sang-e-dar hai aur maiñ huuñ
na kuchh zād-e-safar hai aur na tosha
safar be-bāl-o-par hai aur maiñ huuñ
bahut hai kār-hā-e-zīst lekin
hayāt-e-muḳhtasar hai aur maiñ huuñ
taḳhayyul meñ talātum sā bapā hai
ye dariyā zor par hai aur maiñ huuñ
huzūrī kī ho kyā tadbīr 'ḳhāvar'
vahī darbān-e-dar hai aur maiñ huuñ
ghazab mein shishagar hai aur main hun
mera shishe ka ghar hai aur main hun
nigah-e-tez-tar hai aur main hun
mohabbat ka asar hai aur main hun
sukun mujh ko mayassar kis tarah ho
ki aabaadi mein ghar hai aur main hun
kab aae manzil-e-maqsud dekho
taKHayyul ka safar hai aur main hun
bataun kya mashaghil zindagi ke
kisi ka sang-e-dar hai aur main hun
na kuchh zad-e-safar hai aur na tosha
safar be-baal-o-par hai aur main hun
bahut hai kar-ha-e-zist lekin
hayat-e-muKHtasar hai aur main hun
taKHayyul mein talatum sa bapa hai
ye dariya zor par hai aur main hun
huzuri ki ho kya tadbir 'KHawar'
wahi darban-e-dar hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.