ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana
ġhazab thā un nigāhoñ se nigāheñ chaar ho jaanā
vo un kā toḌ kar dil ko jigar ke paar ho jaanā
nazākat de agar mashq-e-ḳhirām-e-nāz kī ruḳhsat
sū-e-gor-e-garībāñ bhī kabhī ai yaar ho jaanā
dil-e-dīvāna se kyā bahste ho hosh meñ aao
ye kyā hai ik zarā sī chheḌ par bezār ho jaanā
vo uTh jaanā kisī 'īsā-nafas kā merī bālīñ se
vo achchhā hote hote phir mirā bīmār ho jaanā
tarīq-e-‘ishq meñ ai ḳhizr hai ik imtihāñ ye bhī
ajal kā sahl honā zindagī dushvār ho jaanā
zarā kuchh hosh meñ aa leñ to ham muusā se ye pūchheñ
ki kaisā hai kisī kā tālib-e-dīdār ho jaanā
hazāroñ paḌ ga.e raḳhne dil-o-jāñ meñ mirī 'rāfat'
vo haT kar un kā rauzan se pas-e-dīvār jaanā
ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana
wo un ka toD kar dil ko jigar ke par ho jaana
nazakat de agar mashq-e-KHiram-e-naz ki ruKHsat
su-e-gor-e-gariban bhi kabhi ai yar ho jaana
dil-e-diwana se kya bahste ho hosh mein aao
ye kya hai ek zara si chheD par bezar ho jaana
wo uTh jaana kisi 'isa-nafas ka meri baalin se
wo achchha hote hote phir mera bimar ho jaana
tariq-e-‘ishq mein ai KHizr hai ek imtihan ye bhi
ajal ka sahl hona zindagi dushwar ho jaana
zara kuchh hosh mein aa len to hum musa se ye puchhen
ki kaisa hai kisi ka talib-e-didar ho jaana
hazaron paD gae raKHne dil-o-jaan mein meri 'rafat'
wo haT kar un ka rauzan se pas-e-diwar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.