ghazal chheDi hai nasir kya hua hai
ġhazal chheḌī hai 'nāsir' kyā huā hai
purānā zaḳhm phir taaza huā hai
tumheñ bhī dil-lagī mahñgī paḌī hai
mujhe bhī pyaar meñ ghāTā huā hai
zarā zulfoñ ko bal de de sitamgar
tirī zulfoñ meñ dil uljhā huā hai
tirī qismat meñ maiñ huuñ yā nahīñ huuñ
mirī kunDlī meñ tū baiThā huā hai
gul-o-bulbul ke saste chochaloñ meñ
hamesha bāġhbāñ rusvā huā hai
mirā rahbar na ban unglī pakaḌ le
tū mere sāmne paidā huā hai
mirā dil ḳhud mirā apnā nahīñ hai
mujhe to pyaar bhī jhūTā huā hai
mujhe sab dekhne kyoñ aa rahe haiñ
zarā maiñ bhī to dekhūñ kyā huā hai
tumhārā dil hamāre paas achchhā
uThā lo mez par rakkhā huā hai
kahīñ mil jaa.e 'nāsir' to batānā
use dekhe hue 'arsa huā hai
ghazal chheDi hai 'nasir' kya hua hai
purana zaKHm phir taza hua hai
tumhein bhi dil-lagi mahngi paDi hai
mujhe bhi pyar mein ghaTa hua hai
zara zulfon ko bal de de sitamgar
teri zulfon mein dil uljha hua hai
teri qismat mein main hun ya nahin hun
meri kunDli mein tu baiTha hua hai
gul-o-bulbul ke saste chochalon mein
hamesha baghban ruswa hua hai
mera rahbar na ban ungli pakaD le
tu mere samne paida hua hai
mera dil KHud mera apna nahin hai
mujhe to pyar bhi jhuTa hua hai
mujhe sab dekhne kyon aa rahe hain
zara main bhi to dekhun kya hua hai
tumhaara dil hamare pas achchha
uTha lo mez par rakkha hua hai
kahin mil jae 'nasir' to batana
use dekhe hue 'arsa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.