ghazal ghazal mein sataish tere jamal ki hai
ġhazal ġhazal meñ satā.ish tire jamāl kī hai
ye dilkashī tirī āñkhoñ meñ kis ġhazāl kī hai
utaar dī hai har ik peḌ ne qabā apnī
ḳhizāñ kī rut meñ adā mausam-e-visāl kī hai
hai dil kī Dor meñ biite hue dinoñ kā hisāb
ki ek ek girah ek ek saal kī hai
mahak uThī vo jagah do-ghaḌī jahāñ baiThe
ki saañs saañs meñ ḳhushbū tire ḳhayāl kī hai
kahī na us se kabhī dil kī baat is Dar se
har ek baat pe aadat use savāl kī hai
ḳhalā se lauT ke ā.ūñgā phir zamīñ kī taraf
mirā uruuj alāmat mire zavāl kī hai
ghazal ghazal mein sataish tere jamal ki hai
ye dilkashi teri aankhon mein kis ghazal ki hai
utar di hai har ek peD ne qaba apni
KHizan ki rut mein ada mausam-e-visal ki hai
hai dil ki Dor mein bite hue dinon ka hisab
ki ek ek girah ek ek sal ki hai
mahak uThi wo jagah do-ghaDi jahan baiThe
ki sans sans mein KHushbu tere KHayal ki hai
kahi na us se kabhi dil ki baat is Dar se
har ek baat pe aadat use sawal ki hai
KHala se lauT ke aaunga phir zamin ki taraf
mera uruj alamat mere zawal ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.