ghazal ho tum ya ghazal jaanan
ġhazal ho tum yā ġhazāl jānāñ
har ik adā be-misāl jānāñ
ridā se zāhir hai be-ridā.ī
zarā sā āñchal sañbhāl jānāñ
ye ruup terā ye husn terā
jamāl jānāñ kamāl jānāñ
maiñ roz mar mar ke jī rahā huuñ
firāq meñ hai vo haal jānāñ
mirī mohabbat amar rahegī
kabhī na hogā zavāl jānāñ
tumhārī chashm-e-karam se hogī
mirī tabī.at bahāl jānāñ
maiñ phir se tārīk ho rahā huuñ
mujhe tū phir se ujaal jānāñ
ġhazal meñ alfāz kuchh bhī kah luuñ
magar hai tū hī ḳhayāl jānāñ
o merī dhaḌkan tumhāre bin hai
hayāt-e-'kāshif' muhāl jānāñ
ghazal ho tum ya ghazal jaanan
har ek ada be-misal jaanan
rida se zahir hai be-ridai
zara sa aanchal sanbhaal jaanan
ye rup tera ye husn tera
jamal jaanan kamal jaanan
main roz mar mar ke ji raha hun
firaq mein hai wo haal jaanan
meri mohabbat amar rahegi
kabhi na hoga zawal jaanan
tumhaari chashm-e-karam se hogi
meri tabiat bahaal jaanan
main phir se tarik ho raha hun
mujhe tu phir se ujal jaanan
ghazal mein alfaz kuchh bhi kah lun
magar hai tu hi KHayal jaanan
o meri dhaDkan tumhaare bin hai
hayat-e-'kashif' muhaal jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.