ghazal ka partaw nai zaminon se ja mila hai
ġhazal kā partav na.ī zamīnoñ se jā milā hai
patā chalā hai suḳhan ḳhazīnoñ se jā milā hai
munāfiqoñ ko sarāhtā huuñ munāfiqat se
sharīf shā.ir bhī ab kamīnoñ se jā milā hai
isī liye to maiñ ishq se pīchhe haT rahā huuñ
ye silsila bhī tamāsh-bīnoñ se jā milā hai
sarāhne lag gayā junūñ har kisī ko sāhab
ye vo makāñ hai jo ḳhud makīnoñ se jā milā hai
visāl-rut ne sabhī ko khīñchā hai apnī jānib
hamārā dil bhī ka.ī hasīnoñ se jā milā hai
bachā rahā thā maiñ be-vafāoñ se ishq 'mannān'
magar ye sajda unhīñ jabīnoñ se jā milā hai
ghazal ka partaw nai zaminon se ja mila hai
pata chala hai suKHan KHazinon se ja mila hai
munafiqon ko sarahta hun munafiqat se
sharif shair bhi ab kaminon se ja mila hai
isi liye to main ishq se pichhe haT raha hun
ye silsila bhi tamash-binon se ja mila hai
sarahne lag gaya junun har kisi ko sahab
ye wo makan hai jo KHud makinon se ja mila hai
visal-rut ne sabhi ko khincha hai apni jaanib
hamara dil bhi kai hasinon se ja mila hai
bacha raha tha main be-wafaon se ishq 'mannan'
magar ye sajda unhin jabinon se ja mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.