ghazal kahi hai hadis-e-gham-e-jahan ki tarah
ġhazal kahī hai hadīs-e-ġham-e-jahāñ kī tarah
suneñge log ise apnī dāstāñ kī tarah
fareb detā huuñ duniyā ko inkisārī kā
maiñ apne aap meñ phailā huuñ āsmāñ kī tarah
qadam qadam pe ziyā-bāriyāñ ma.āz-allāh
ye rahguzar hai ki phailī hai kahkashāñ kī tarah
ye gul to gul haiñ chaman ko na bech deñ zālim
jo ruup apnā banā.e haiñ bāġhbāñ kī tarah
zarūr sāzish-e-kalak-e-azal thī kuchh is meñ
paḌā huuñ ek taraf harf-e-rā.egāñ kī tarah
kahāñ thā merā nasheman maiñ sab se pūchh aayā
kisī kā ghar na jale mere āshiyāñ kī tarah
TaTol lenā zarā un kī āstīneñ bhī
jo tum se haath milāte haiñ rāz-dāñ kī tarah
vo jin kā rāz-e-mohabbat thā be-niyāz hue
ham un kā raaz chhupā.e haiñ apnī jaañ kī tarah
koī to jaan pe khele hai ban ke parvāna
jalā kare hai koī sham.a-e-be-zabāñ kī tarah
mile to qāfile sau sau shikasta-pā the hamīñ
uTh uTh ke baiTh ga.e gard-e-kārvāñ kī tarah
ghazal kahi hai hadis-e-gham-e-jahan ki tarah
sunenge log ise apni dastan ki tarah
fareb deta hun duniya ko inkisari ka
main apne aap mein phaila hun aasman ki tarah
qadam qadam pe ziya-bariyan maaz-allah
ye rahguzar hai ki phaili hai kahkashan ki tarah
ye gul to gul hain chaman ko na bech den zalim
jo rup apna banae hain baghban ki tarah
zarur sazish-e-kalak-e-azal thi kuchh is mein
paDa hun ek taraf harf-e-raegan ki tarah
kahan tha mera nasheman main sab se puchh aaya
kisi ka ghar na jale mere aashiyan ki tarah
TaTol lena zara un ki aastinen bhi
jo tum se hath milate hain raaz-dan ki tarah
wo jin ka raaz-e-mohabbat tha be-niyaz hue
hum un ka raaz chhupae hain apni jaan ki tarah
koi to jaan pe khele hai ban ke parwana
jala kare hai koi shama-e-be-zaban ki tarah
mile to qafile sau sau shikasta-pa the hamin
uTh uTh ke baiTh gae gard-e-karwan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.