ghazal kahna adakari nahin hai
ġhazal kahnā adākārī nahīñ hai
hamārā shauq bāzārī nahīñ hai
karūñ sajda tire naqsh-e-qadam par
abhī itnā junūñ taarī nahīñ hai
kisī ko sochnā tanhā.iyoñ meñ
mohabbat hai ye bīmārī nahīñ hai
ġham-e-dil ko ġhazal meñ Dhāltā huuñ
tumhī kah do ye fankārī nahīñ hai
amīr-e-shahr bhī mujh se ḳhafā hai
mirā lahja jo darbārī nahīñ hai
diyā hai saath ham ne har qadam par
magar nām-e-vafādārī nahīñ hai
hameñ hāsil hai fikr-o-fan kī daulat
ġhazal kahnā koī bhārī nahīñ hai
'farāz' un se ye maiñ ne zaḳhm khāyā
jinheñ aatī dil-āzārī nahīñ hai
ghazal kahna adakari nahin hai
hamara shauq bazari nahin hai
karun sajda tere naqsh-e-qadam par
abhi itna junun tari nahin hai
kisi ko sochna tanhaiyon mein
mohabbat hai ye bimari nahin hai
gham-e-dil ko ghazal mein Dhaalta hun
tumhi kah do ye fankari nahin hai
amir-e-shahr bhi mujh se KHafa hai
mera lahja jo darbari nahin hai
diya hai sath hum ne har qadam par
magar nam-e-wafadari nahin hai
hamein hasil hai fikr-o-fan ki daulat
ghazal kahna koi bhaari nahin hai
'faraaz' un se ye main ne zaKHm khaya
jinhen aati dil-azari nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.