ghazal kahun ki tujhe hasil-e-ghazal likhun
ġhazal kahūñ ki tujhe hāsil-e-ġhazal likhūñ
maiñ lafz likhūñ magar phir badal badal likhūñ
tumhāre saath jo lamhe nasīb meñ aa.e
unheñ maiñ umr kahūñ aur ek pal likhūñ
abad qarār duuñ chāhat kī har nishānī ko
maiñ tere pyaar ko sarmāya-e-azal likhūñ
tirī nazar ke badalte hue ishāroñ ko
maiñ terā aaj kahūñ aur apnā kal likhūñ
likhūñ to likhtā chalā jā.ūñ ishq kī zid hai
hai maslahat kā taqāzā sambhal sambhal likhūñ
vo merī ruuh meñ shāmil hai is tarah 'anvar'
bin us ke ziist faqat saañs kā amal likhūñ
ghazal kahun ki tujhe hasil-e-ghazal likhun
main lafz likhun magar phir badal badal likhun
tumhaare sath jo lamhe nasib mein aae
unhen main umr kahun aur ek pal likhun
abad qarar dun chahat ki har nishani ko
main tere pyar ko sarmaya-e-azal likhun
teri nazar ke badalte hue ishaaron ko
main tera aaj kahun aur apna kal likhun
likhun to likhta chala jaun ishq ki zid hai
hai maslahat ka taqaza sambhal sambhal likhun
wo meri ruh mein shamil hai is tarah 'anwar'
bin us ke zist faqat sans ka amal likhun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.