Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal ke peD ko barg-e-nawa nahin dete

Yawar Azeem

ghazal ke peD ko barg-e-nawa nahin dete

Yawar Azeem

MORE BYYawar Azeem

    ġhazal ke peḌ ko barg-e-navā nahīñ dete

    ye kyoñ mujhe mire mausam khilā nahīñ dete

    ye chilchilātī huī chup mujhe jalā degī

    tum ek lafz ko saaya banā nahīñ dete

    maiñ zindagī ghuTan 'ilāj chāhtā huuñ

    mujhe udaas darīche havā nahīñ dete

    hamārī aañkh stage ho gayā ḳhālī

    tum apne ḳhvāb manzar dikhā nahīñ dete

    kahāñ ga.e mire sāmāñ meñ chand zaḳhm bhī the

    mujhe bhī tum mirā andoḳhta nahīñ dete

    maiñ in ko rauñd ke aage nikalne vaalā thā

    agar ye log mujhe rāsta nahīñ dete

    na.e mahāz pe kaise DaTe raheñ 'yāvar'

    hamāre zaḳhm hameñ hausla nahīñ dete

    ghazal ke peD ko barg-e-nawa nahin dete

    ye kyon mujhe mere mausam khila nahin dete

    ye chilchilati hui chup mujhe jala degi

    tum ek lafz ko saya bana nahin dete

    main zindagi ki ghuTan ka 'ilaj chahta hun

    mujhe udas dariche hawa nahin dete

    hamari aankh ka stage ho gaya KHali

    tum apne KHwab ka manzar dikha nahin dete

    kahan gae mere saman mein chand zaKHm bhi the

    mujhe bhi tum mera andoKHta nahin dete

    main in ko raund ke aage nikalne wala tha

    agar ye log mujhe rasta nahin dete

    nae mahaz pe kaise DaTe rahen 'yawar'

    hamare zaKHm hamein hausla nahin dete

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now