ghazal ki samt is jaanib se bhi rasta nikalenge
ġhazal kī samt is jānib se bhī rasta nikāleñge
tumhārī guftugū se ham koī misra' nikāleñge
hameñ daftar meñ aa kar bhī yahī mahsūs hotā hai
abhī schōl lag jā.egā aur basta nikāleñge
tumhārī aañkh se tinkā nikālā jā.egā pahle
ham is ke baa'd apne pair se kāñTā nikāleñge
jinheñ tum qahqahoñ aur tāliyoñ se daad dete ho
tamāshā ḳhatm hone par yahī kaasa nikāleñge
mohabbat kā ye pahnāvā hamāre tan pe sajnā hai
ham is kurte kī kaf se fāltū dhāga nikāleñge
tumhārī faizyābī kī sabīleñ lag ga.iiñ 'faisal'
jinheñ khiḌkī kī hājat thī vo darvāza nikāleñge
ghazal ki samt is jaanib se bhi rasta nikalenge
tumhaari guftugu se hum koi misra' nikalenge
hamein daftar mein aa kar bhi yahi mahsus hota hai
abhi school lag jaega aur basta nikalenge
tumhaari aankh se tinka nikala jaega pahle
hum is ke ba'd apne pair se kanTa nikalenge
jinhen tum qahqahon aur taliyon se dad dete ho
tamasha KHatm hone par yahi kasa nikalenge
mohabbat ka ye pahnawa hamare tan pe sajna hai
hum is kurte ki kaf se faltu dhaga nikalenge
tumhaari faizyabi ki sabilen lag gain 'faisal'
jinhen khiDki ki hajat thi wo darwaza nikalenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.