ghazal mein dasht ki Khaali baDai hoti hai
ġhazal meñ dasht kī ḳhālī baḌā.ī hotī hai
samundaroñ kī abhī tak burā.ī hotī hai
tumhāre shahr meñ bas is liye nahīñ aatā
tumhāre shahr meñ to ḳhud-numā.ī hotī hai
bahut uThātī hai nuqsān raushnī yāroñ
agar diyoñ kī havā se laḌā.ī hotī hai
jahāñ pe baiThte uThte haiñ chaar chhe shā.ir
vahāñ pe ḳhuub lagā.ī bujhā.ī hotī hai
ye kār-zār-e-mohabbat hai aur yahāñ 'anvar'
sunī-sunā.ī nahīñ āzmā.ī hotī hai
ghazal mein dasht ki KHali baDai hoti hai
samundaron ki abhi tak burai hoti hai
tumhaare shahr mein bas is liye nahin aata
tumhaare shahr mein to KHud-numai hoti hai
bahut uThati hai nuqsan raushni yaron
agar diyon ki hawa se laDai hoti hai
jahan pe baiThte uThte hain chaar chhe shair
wahan pe KHub lagai bujhai hoti hai
ye kar-zar-e-mohabbat hai aur yahan 'anwar'
suni-sunai nahin aazmai hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.