ghazal mein jab bhi nae zawiyon ki baat hui
ghazal mein jab bhi nae zawiyon ki baat hui
Abhishar Geeta Shukl
MORE BYAbhishar Geeta Shukl
ġhazal meñ jab bhī na.e zāviyoñ kī baat huī
tumhāre jism pe khilte tiloñ kī baat huī
purāne zaḳhm ubhar aa.e jism par mere
isī bahāne ka.ī dostoñ kī baat huī
udaas log isī baat se haiñ ḳhush ki chalo
hamāre saath hue hādsoñ kī baat huī
ziyāda to nahīñ par itnā yaad hai mujh ko
hamāre hoñT mile dhaḌkanoñ kī baat huī
hamāre sāmne hī dūsre kā zikr huā
diye ke sāmne hī āñdhiyoñ kī baat huī
na.e se daur meñ kuchh aur to nahīñ huā par
savāl kartī huī laḌkiyoñ kī baat huī
ghazal mein jab bhi nae zawiyon ki baat hui
tumhaare jism pe khilte tilon ki baat hui
purane zaKHm ubhar aae jism par mere
isi bahane kai doston ki baat hui
udas log isi baat se hain KHush ki chalo
hamare sath hue hadson ki baat hui
ziyaada to nahin par itna yaad hai mujh ko
hamare honT mile dhaDkanon ki baat hui
hamare samne hi dusre ka zikr hua
diye ke samne hi aandhiyon ki baat hui
nae se daur mein kuchh aur to nahin hua par
sawal karti hui laDkiyon ki baat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.