ghazal meri bhi ab aksar rawani chhoD deti hai
ġhazal merī bhī ab aksar ravānī chhoḌ detī hai
mire pannoñ pe ye terī nishānī chhoḌ detī hai
hameñ maujūd rakhte haiñ hamāre lafz logoñ meñ
ye kaayā ḳhaak ho jaatī zabānī chhoḌ detī hai
javānī ke nashe meñ tū zarā ye dhyān meñ rakhnā
ye chehre kī chamak ik din javānī chhoḌ detī hai
adā tere takallum kī bahut dilkash hai merī jaañ
mire adhroñ pe ye terī kahānī chhoḌ detī hai
use mohtāt rakhtā hai tujhe khone kā Dar har pal
tabhī to phir yaqīñ karnā dīvānī chhoḌ detī hai
bahut mujh ko hañsātī hai tumhārī yaad aksar hī
yahī aksar mirī āñkhoñ meñ paanī chhoḌ detī hai
use yāroñ mire ash.ār jaane kyoñ nahīñ bhāte
jo uulā Thiik se paḌh le to saanī chhoḌ detī hai
ghazal meri bhi ab aksar rawani chhoD deti hai
mere pannon pe ye teri nishani chhoD deti hai
hamein maujud rakhte hain hamare lafz logon mein
ye kaya KHak ho jati zabani chhoD deti hai
jawani ke nashe mein tu zara ye dhyan mein rakhna
ye chehre ki chamak ek din jawani chhoD deti hai
ada tere takallum ki bahut dilkash hai meri jaan
mere adhron pe ye teri kahani chhoD deti hai
use mohtat rakhta hai tujhe khone ka Dar har pal
tabhi to phir yaqin karna diwani chhoD deti hai
bahut mujh ko hansati hai tumhaari yaad aksar hi
yahi aksar meri aankhon mein pani chhoD deti hai
use yaron mere ashaar jaane kyon nahin bhate
jo ula Thik se paDh le to sani chhoD deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.