ghazal ye jo hamari ho rahi hai
ġhazal ye jo hamārī ho rahī hai
tirī āñkhoñ se jaarī ho rahī hai
tum apne shahar ke baare meñ bolo
yahāñ to barf-bārī ho rahī hai
maiñ ḳhud meñ hī bikhartā jā rahā huuñ
ki mujh meñ sañg-bārī ho rahī hai
hamārī jebeñ kaaTī jā chukī haiñ
talāshī kyoñ hamārī ho rahī hai
falak ke kaan hī shāyad nahīñ haiñ
zamīñ par āh-o-zārī ho rahī hai
koī sailāb aa jaa.e na 'tābish'
musalsal ashk-bārī ho rahī hai
ghazal ye jo hamari ho rahi hai
teri aankhon se jari ho rahi hai
tum apne shahar ke bare mein bolo
yahan to barf-bari ho rahi hai
main KHud mein hi bikharta ja raha hun
ki mujh mein sang-bari ho rahi hai
hamari jeben kaTi ja chuki hain
talashi kyon hamari ho rahi hai
falak ke kan hi shayad nahin hain
zamin par aah-o-zari ho rahi hai
koi sailab aa jae na 'tabish'
musalsal ashk-bari ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.