ghazal ye maine tere waste kahi hui hai
ġhazal ye maiñ ne tire vāste kahī huī hai
ye vo ġhazal hai jo taaza abhī abhī huī hai
rumūz-e-zindagī se go mujh ko āgahī huī hai
shu'ūr pā ke to āzār zindagī huī hai
chalī hai aisī qayāmat kī chaal qismat ne
mujhe to mere hī apnoñ ne maat dī huī hai
zamāne ne vo qayāmat kī chaal ab ke chalī
mirī kahānī bahut der se rukī huī hai
jo talḳhiyāñ sahīñ parda haTā nigāhoñ se ik
huā na harj koī ḳhud se āgahī huī hai
palaT ke dekh to safhāt zindagī ke kabhī
kahānī ek mohabbat kī bas likhī huī hai
vo dūsroñ ko jo insāniyat kā dete haiñ dars
'ajab hai un meñ isī chiiz kī kamī huī hai
le 'shamsa' naam bhī sūraj se mil rahā hai tirā
tire vujūd se duniyā meñ raushnī huī hai
ghazal ye main ne tere waste kahi hui hai
ye wo ghazal hai jo taza abhi abhi hui hai
rumuz-e-zindagi se go mujh ko aagahi hui hai
shu'ur pa ke to aazar zindagi hui hai
chali hai aisi qayamat ki chaal qismat ne
mujhe to mere hi apnon ne mat di hui hai
zamane ne wo qayamat ki chaal ab ke chali
meri kahani bahut der se ruki hui hai
jo talKHiyan sahin parda haTa nigahon se ek
hua na harj koi KHud se aagahi hui hai
palaT ke dekh to safhat zindagi ke kabhi
kahani ek mohabbat ki bas likhi hui hai
wo dusron ko jo insaniyat ka dete hain dars
'ajab hai un mein isi chiz ki kami hui hai
le 'shamsa' nam bhi suraj se mil raha hai tera
tere wujud se duniya mein raushni hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.