ghazlon ko ye andaz-e-hunar kaT raha hai
ġhazloñ ko ye andāz-e-hunar kaaT rahā hai
hiirā hai ki shīshe kā jigar kaaT rahā hai
beTe kī paḌhā.ī pe kiyā jis ne bahut ḳharch
beTā ab usī baap kā sar kaaT rahā hai
hairat hai ki uḌnā abhī sīkhā nahīñ jis ne
vo bhī mire baazū mire par kaaT rahā hai
dekhūñ tirī jānib to laraztī haiñ nigāheñ
vahshat mujhe itnī hai ki ghar kaaT rahā hai
vo mujh se muḳhātib hai is andāz meñ 'e’jāz'
jaise kisī jaadū kā asar kaaT rahā hai
ghazlon ko ye andaz-e-hunar kaT raha hai
hira hai ki shishe ka jigar kaT raha hai
beTe ki paDhai pe kiya jis ne bahut KHarch
beTa ab usi bap ka sar kaT raha hai
hairat hai ki uDna abhi sikha nahin jis ne
wo bhi mere bazu mere par kaT raha hai
dekhun teri jaanib to larazti hain nigahen
wahshat mujhe itni hai ki ghar kaT raha hai
wo mujh se muKHatib hai is andaz mein 'e’jaz'
jaise kisi jadu ka asar kaT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.