ghazlon mein koi fikr ka pahlu to nahin hai
ġhazloñ meñ koī fikr kā pahlū to nahīñ hai
āvāz kā jaadū sahī urdu to nahīñ hai
rah rah ke damaktā hai har ik naqsh-e-kaf-e-pā
hamrāh tirī yaad kā jugnū to nahīñ hai
muTThī meñ sahī azmat-e-'nāhīd'-o-'surayyā'
bigḌe hue hālāt pe qaabū to nahīñ hai
kyoñ paanī huā jaatā hai patthar kā kaleja
mauzūa mire sher kā aañsū to nahīñ hai
phir chāñd kī mānind hai hasīñ zaḳhm-e-tamannā
ye mo.ajiza-e-jumbish-e-abrū to nahīñ hai
zinda raho mumkin hai sañvar jaa.e kisī roz
qismat koī un kā ḳham-e-gesū to nahīñ hai
mahke hai baḌī shaan se har zaḳhm jigar kā
be-ghar kahīñ us zulf kī ḳhushbū to nahīñ hai
ghazlon mein koi fikr ka pahlu to nahin hai
aawaz ka jadu sahi urdu to nahin hai
rah rah ke damakta hai har ek naqsh-e-kaf-e-pa
hamrah teri yaad ka jugnu to nahin hai
muTThi mein sahi azmat-e-'nahid'-o-'surayya'
bigDe hue haalat pe qabu to nahin hai
kyon pani hua jata hai patthar ka kaleja
mauzua mere sher ka aansu to nahin hai
phir chand ki manind hai hasin zaKHm-e-tamanna
ye moajiza-e-jumbish-e-abru to nahin hai
zinda raho mumkin hai sanwar jae kisi roz
qismat koi un ka KHam-e-gesu to nahin hai
mahke hai baDi shan se har zaKHm jigar ka
be-ghar kahin us zulf ki KHushbu to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.