gesuon ke asir hain hum bhi
gesuoñ ke asiir haiñ ham bhī
qissa-e-dil-pazīr haiñ ham bhī
husn meñ tum sā gar nahīñ koī
'ishq meñ be-nazīr haiñ ham bhī
misl-e-shīrīñ agar hasīn ho tum
ḳhāliq-e-jūe-e-shīr haiñ ham bhī
us ke hāthoñ meñ jo nahīñ miltī
ek aisī lakīr haiñ ham bhī
chāñd ko dekh kar kahā us ne
rashk-e-badr-e-munīr haiñ ham bhī
be-vafā se koī gila na kiyā
kis qadar bā-zamīr haiñ ham bhī
āñsuoñ ke diye jalāte haiñ
raushnī ke safīr haiñ ham bhī
vo kahīñ bhī hoñ dekh lete haiñ
kitne raushan-zamīr haiñ ham bhī
jis kī nazroñ meñ kuchh nahīñ shāhī
ek aise faqīr haiñ ham bhī
koī ham sā nahīñ zamāne meñ
aap apnī nazīr haiñ ham bhī
paas daulat nahīñ to kyā yaaro
apne dil ke amiir haiñ ham bhī
narm dil haiñ magar 'adū ke liye
ek zahrīlā tiir haiñ ham bhī
muttahid aaj ham nahīñ yaaro
yuuñ jahāñ haiñ haqīr haiñ ham bhī
nazm-e-gulshan badal to sakte haiñ
maslahat ke asiir haiñ ham bhī
she'r pur-dard haiñ 'zafar' apne
is zamāne ke 'mīr' haiñ ham bhī
gesuon ke asir hain hum bhi
qissa-e-dil-pazir hain hum bhi
husn mein tum sa gar nahin koi
'ishq mein be-nazir hain hum bhi
misl-e-shirin agar hasin ho tum
KHaliq-e-jue-e-shir hain hum bhi
us ke hathon mein jo nahin milti
ek aisi lakir hain hum bhi
chand ko dekh kar kaha us ne
rashk-e-badr-e-munir hain hum bhi
be-wafa se koi gila na kiya
kis qadar ba-zamir hain hum bhi
aansuon ke diye jalate hain
raushni ke safir hain hum bhi
wo kahin bhi hon dekh lete hain
kitne raushan-zamir hain hum bhi
jis ki nazron mein kuchh nahin shahi
ek aise faqir hain hum bhi
koi hum sa nahin zamane mein
aap apni nazir hain hum bhi
pas daulat nahin to kya yaro
apne dil ke amir hain hum bhi
narm dil hain magar 'adu ke liye
ek zahrila tir hain hum bhi
muttahid aaj hum nahin yaro
yun jahan hain haqir hain hum bhi
nazm-e-gulshan badal to sakte hain
maslahat ke asir hain hum bhi
she'r pur-dard hain 'zafar' apne
is zamane ke 'mir' hain hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.